3/05/2017

Dil or dharkta kiyon hai ...Seema Gupta ...Vineet Pandit





Lyrics and Graphics: Seema Gupta
Music Composition and Singing : Vineet Pandit
Ghazal:
usko dekhoon toh ye dil or dharkta kiyon hai
aks iska meri aankhon meiN bikharta kiyoN hai...
vo na izhaar kare baat alag hai lekin
Dekh kar mujhko bhala or sanwarta kiyon hai
raat bhar chand ne choomi hai teri peshaani
usko afsos hai sooraj ye nikalta kiyoN hai
guftugu mein jo tera zikr kabhi aa jaaye
dard toofaN ki tarah dil meiN machalta kiyoN hai
sochti rehti hooN fursat mei yehi maiN"Seema"
kaam jo hona hai aakhir wohi tal-taa kiyoN hai